Na tha kuch to Khuda tha
na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
[ behis = shocked/stunned, zaanooN = knee ]
huee muddat ke ‘GHalib’ mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?
[ muddat = duration/period ]
One Response to 'Na tha kuch to Khuda tha'
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.



on August 1st, 2006 at 3:34 am
Ghalib tu tha, to shauqh yahan bhi hai uffan mein,na hota tu to kya hota ?