Ghalib: Naqsh fariyaadee hai
- naqsh
fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka
kaaGHazee hai pairhan har paikar-e-tasweer ka
- kaave-kaave
saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch
subah karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka
jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye
seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka
- aagahee
daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye
mudda’a ‘anqa hai apne aalam-e-taqreer ka
- bus ke hooN ‘GHalib’
aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa
moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.


